Shekhawati University,Sikar

Thursday 10 March 2016

Khatu Shyam Bhajan and Aarti

1) Shri Shyam Aarti 


2) Shri Shyam Vinati, ( a prayer or bhajan)



Shyam Baba Aarti 

Om jai shri shyam hare, baba jai shri shyam hare
Khatu dham virajat, anupam roop dhare, Om jai shri shyam hare…
Ratan jadit singhasan, sir per chanvar dule
Tan keshariya baago, kundal shravan pade, Om jai shri shyam hare…
Gal pushpon ki maala, sir par mukut dhare
Khevat dhoop agni par, deepak jyoti jale, Om jai shri shyam hare…
Modak kheer choorma, suvaran thaal bhare,
Sevak bhog lagaave, seva nitya kare, Om jai shri shyam hare…
Jhanj katora aur ghadiyaaval, shankh mridang dhure,
Bhakt aarti gaave, jay jay kaar kare, Om jai shri shyam hare…
Jo dhyave phal paave, sab dukh se ubare,
Sevak jan nij mukh se, shri shyam shyam uchare, Om jai shri shyam hare…
Shri shyam bihariji ki aarti, jo koi nar gave
Kahat alusingh swami, manvanchit phal paave, Om jai shri shyam hare…
Om jai shri shyam hare Ooo, baba jai shri shyam hare,
Nij bhakton ke tumne, pooran kaaj kare, Om jai shri shyam hare…

The vinati (Shyam puspanjali)

Haath jod vinati karu, sunjyo chit lagaye
Das aa gayo sharan main, rakhiyo iski laaj
Dhanye dhudharo desh hain, khatu nagar sujan
Anupam chavi shri shyam ki, darshan se kalian
Shyam shyam to main ratu, shyam hain jeevan pran
Shyam bakht jag main bade, unko karu pranam
Khatu nagar ke beech main, banyo aapko dham
Phalgun shukla mela bhare, jai jai baba shyam
Phalgun shukla dwadshi, utsav bhari hoye
Baba ke darbar se, khali jaye na koye
Umapati laxmipati, sitapati shri ram
Lajja sabki rakhiyon, khatu ke shri shyam
Paan supari ilachi, atar sugandhit bharpur
Sab bhaktan ki vinti, darshan devo hazoor
Alusingh to prem se, dhare shyam ko dhyan
Shyam Bhakt pave sada, shyam kripa se maan
“BOLO Khatu SHYAM PRABHU KI JAI”
“LELE KE SAWAR KI JAI”
“SHISH KE DANI KI JAI”

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...